Dawn Bread ki double roti 1 adad
Maida 2 khanay k chamchay
Makhan 1 khanay ka chamch
Paneer (kadookash) 1 piyali
Cheeni 1 chaye ka chamch
Namak Hasb e zaiqa
Safiad mirch powder 1 chaye ka chamach
Tazah doodh 1piyali
Chicken (ublay hoye bareek tukray) ½ piyali
1 pan main pehly adha makhan daal kar garam karain. Phir miada daal kar halka sa bhoon lain aur pan anch per sy hata lain. 5 minute k liye thanda karain. Phir doodh daal kar lakri ka chamach chalaty rahain aur 2 minute baad dobara chholay per pakany ko rakh dain. Jab ye sauce gaarhi hojaye to samjh lain k white sauce taiyar hai.
Ab is white sauce main cheeni, safiad mirch aur chicken mila dain.
Ab slice k darmiyan main sy 2 tukray kar dain.iskay oper pehlay makhan lagain. Phir white suace mili chicken phila kar lagain. Is k oper paneer rakahin aur kaali mirch chhirak kar 1 bari tray main phaila kr rakh dain. Oven k pehly sy 370 degree F per garm kar lain aur iskay tamam slices grill kar lain.
10 minute k liye jab paneer pighal jaye aur golden brown hojaye to sandwich taiyar hain.
Shami Kabab fresh juice k sath paish karain.
Posted By: Posted By: nabeela,