Recommended By Chef |
Tips About Recipe |
8269 Views
0 Comments
• Fry kay liya
• arvi kay paty 4 adad
• besin 2 cup
• white zera 1 tea spoon
• sabut dhaniya 1 tea spoon (dono mila kar halka sa tave par bhon kar peece lain )
• pisa giram masalah 1 tea spoon
• salt to taste
• red mirch 1 tea spoon
• Egg 1
• Oil 2 cup
Gravay kay liya:
• oil 1 cup
• onion 3 adad (medimun size)
• Red mirch
• salt to tast
• pisa dhaniya 1 tea spoon
• lahsan
• adrak paste
• 1 table spoon
• curd 1 cup
• hari mirch 2
• thora sa hardhniya (barek kat lain)
How to make Arvi kay patton ka salan
METHOD:
Leaves ko dhu kar lambi aur squre main ek jaisy kat lain phir besin main jo fry wala masla upar batay hai basin main egg bhi mix kar lain aur ya masala pato main laga dain aur side se morty jayen ek squer ki shape main ajye tu ek try main rakh lain baqi leaves jo katy hain un par bhi aisy hai masala laga lain ab fry pen main oil garam karen us main ya ek ek kar kay fry kar lain dono taraf se golden kar lain .
Gravey kay liya
oil garam kar lain aur onion kat kar pink se fry kar lain phir sary onion ko grander main pece lain garam oil main paiz nimak mirch dhaniya lahsan adrak paste dal kar masala bhon lain phir hasb mizaj pani dal kar fry leaves us main rakh dain aur upar se hara dhnya aur hari mirch dal kar garm garm chapati kay sath pesh karen.
ya kahany main buth light se dish hai jo heavy nhai karti hai
Posted By:
Zehra, Hyderabad