Maida 1/2 kilo
Doodh 1/2 litter
Ghee 375 gram
Chini 2kg
Zarday ka Rand 1 masha
Baking Powder 1 tola
Maiday main baking powder mila kar thoray sy doodh main gondh lain. Maida sakht hojaye to aatay ki tarha hath ko paani laga kar gondhtay jaain. Yahan tak k khameer ki soorat phool jaye. Baqi bacha hoa taqreeban 6 chhatank doodh is phooty hoye mayday main daal dain takeh gaarhi ho kar creame c ban jaye. Adhay litter paani main cheeni daal dain. Zarday ka rang bhi milaaain aur josh anay dain. Jab teen taar ki chashni ban jaye to utar lain. Hath ki girft main anay wala aab e khora le lain aur iskay painday main chhaid kar dain. Frying pan main ghee daal kar chholay per rakhain. Aab e Khoray k sorakh per ungli rakh kar is main maida daalain aur frying pan k oper la kar sorakh sy ungli hata lain. Aab Khoray ko gardish dety rahain aur Jaleebi ki shakal banaty rahain. Halki zardi maail jalaibiyaan hon to sheeray main daal dain. Adhay ghanty tak rehny dain. Sheera jazb hoajye to nikaal lain. In per warq bhi laga’ain.
Posted By: Posted By: Fiza, karachi