Salam Asad bhai mujhe ye bata dein k salan mein se piaz ki kadwahat kaisey door ki jae?? aksar salan sahe acha banta hai par piaz ka karwapan ajata hai jis se salan ka taste khatam hojata hai,
is k liye bohat asan tarika hai k aap Piyaz ko pani ma bheego kar rakha karay 10 min phir cut kar ka salan ma dalnay sa khatum ho jaye gee
Is k liye aap piyaz cheel k pani may daal k adha ghnta rakh dain karwahat kam ho jae ge.
Peel and cut the onion and soak in water for 10 to 15 minutes before u add to gravy either by way of grinding or frying them. Hope this helps.
10-15 mint kay leeye piaz ko freezer main rakhin uss kay baad us ko cheel kar kat lain... bilkul bhi karwa nahi ho ga :)
Cutt k namakk chak k bhi karwahat khatam ho jati h..!!