Double roti k slIce 6 sy 8 adad
Bharnay ka masalah 1 piyali
Cooking Oil Talny k liye
Bharny ka Masala
Aalo ka bhurta
Aalo ubal kar bhurta kiye hoye 2 adad
Namak hasb e zaiqa
Kaali mirch moti kuti hoi ½ chaye ka chamach
Hara dhaniya bareek kata hoa 2 khanay k chamach
Podeena bareek katahoa 1 khanay ka chamach
Hari mirchain bareek kati hoi 1 sy 2 adad
Bhuna hoa Qeema
Qeema 200 gram
Namak Hasb e zaiqa
Adrak lehsan pisa hoa 1 chaye ka chamch
Laal mirch pisi hoi ½ chaye ka chamach
Haldi pisi hoi ¼ chaye ka chamach
Safaid zeera ½ chaye ka chamach
Double rooti k slice ko 1, 1 kar k 4 sy paanch mint k liye paani main bhigo dain.
Dono haato k beech main ek slice rakh kar achi tarha daba kar paani nichor lain.
Aalo ka bhurta banany k liye tamam masalay aalo main achi tarha mila kar 10 sy 15 mint kliye fridge main rakh dain.
Bhuna hoa qeema banany k liye qeemay main tamam masalay daal kar darmiyani anch per dhak kar itni dair pakaain k qeemay ka apna paani khushk hojaye.
Double roti k slice k darmiyan 1 khanay ka chamach aalo ka bhurta ya bhuna hoa qeema rakh kar daba daba kar roll ki shakal main band kar lain. Phr adha ghanta fridge main rakh dain.
Karhai main darmiyani anch per 3 sy 5 mint tak cooking oil ko garm kar k bread roll golden fry kar lain.
Posted By: Posted By: Sani, Karachi