Matan ……………………………. 1 Kilo
Tamatar………….…………….… 4 Adad
Hari Mrich …………….……… 8 Adad Choti
Dahi …………………….……………... Adha Cup
Haldi ………………………..………….. Adha Khane Ka Chamach
Namak ……………………..………….. Hasbe Zaiqa
Payaz ……………………………..……. 2 Adad
Tail ………………………………..…….. 1 Cup
Garam Masala Powder …………. Adha Khane ka Chamach
Lehsan Adrak Paist ………………… 2 Khane K Chamchy
Hara Dhanya …………………………. Thora Sa
Matan ko achi tarah dho lain . Pately main tail gram kr k payaz ko dal kr golden fry kr k nikal lain . Isi tail main tamatar bareek kat kr dal dain aur achi tarah gala lain.
Payaz aur hari mirch ko dahi k sath pees lain aur matan main mila dain sath hi haldi aur nimak bhi mila dain . Adhy ghanty meri nait hony dain phr pateeli main tamam masala laga gosht dal dain aur darmiyani anch per 15 se 20 mint tak pakain.
Ghost gal jay to itna bhonain k tail uper a jay garam masala powder chirak kr 5 mints dam lagain.
Hara dhanya dal kr sarve krain.
Gram chapatti aur salad k sath khain --- Eid.e.Qurban ki khasosi dish zaroor azmain
Posted By: Posted By: kiran,