Recommended By Chef |
Tips About Recipe |
16454 Views
1 Comments
• Basimti Chawal. 2 cup
• Chicken. 1/2 kg chotey tukro mai
• Oil. 1/2 cup
• Chicken yakhni. 1 cup
• Pani. 1 1/2 cup
• Mattar. 1/4 cup
• Gajar. 1/4 cup
• Pyaaz. 1 adad bareek lambai mai kate huwe
• Tamater. 3 adad darmyane size
• Hari mirch. 4 adad lambai mai kaate huwe
• Dahi. 2 tbs
• Laal mirch powder. 1/4 teas
• Kaali mirch crash. 1 tbs
• Lehsan Adrak past. 2 tbs
• Zeera powder. 1 teas
• Khushk daniya. Crash 1 teas
• Lemon juice. 1 1/2 tbs
• Namak. Hasbe ziqa
• LazeezaChicken
• plao masalha. 2 tbs
• Hara daniya. Adah gaddi
• Aata. 1 cup
How to make Dam pukhta chicken plao
METHOD:
Sab se pehle darmiyane darje k garam Pani mai chawal ko adah ghanta pehle bhigo de.aik non stik karahi mai oil daal de jab oil garam ho jaye to is mai piyaaz daal ker sonehra kare.ab iss mai chicken daal de or Namak b daal de our khub bhooney yahan tak k chicken ka coler sonehra ho jaye.ab iss mai Adrak lehsan past daal ker Halka sa fry kare ab iss mai bareek kati huwi tamater Dahi our sare masalhe daal ker pakne de.ab iss mai 1 cup yakhni our 1 1/2 cup Paani daal de jab ubalne lage to lemon juice b shamil kar de.Chawal ko achi tarah chaanain our ubalte karahi mai shamil kar de our chulhe ko 5 min k liye taiz kar de jab Chawal thore se ubal jaye to iss mai Hari mirch Mattar our Gajar ko shamil kar de.1 cup aate ko sakht ghoond le our karahi k dhakkan k sare kinaro pe achi tarha laga de dhakkan ko band kar de our karahi k upper koi bhari wazan rakh de ta k bhap na nikal paye our ab chulhe ko bilkul Halka aanch kar de.25 min bad karahi se dhakkan khol de our plao ko chamach k Handel ki madad se mix kare.ab aik dish mai plao ko nikhal le our upper se hare daniye our limo se sajaye.salad k saat paish kare.mazedaar garma garam dam pukhta chicken plao tayar hai.
Posted By:
mrs.shokat ullah, Leeds, uk