Recommended By Chef |
Tips About Recipe |
6789 Views
0 Comments
• Rice:1 kilo
• Taiz paat:2
• Sabat sayah mirch:1 table spoon
• Long,badi ilaiche:1/2-1/2 table spoon
• Daar chinni:1 table spoon
• Kala zeera:1 table spoon
• Sabaz ilache:1 table spoon
• Tomato(bareek cuta howa):6 adad
• Onion(bareek cuta howa):5 adad
• Ghee:1 cup
• Red chilli powder:2 tea spoon
• Green chilli(bareek cutti howe):1 tea spoon
• Salt:hasb-e-zaiqa
• Yogurt:1 cup
• Zafran:1/2 tea spoon
• Milk:1/2 cup
• Pudina,hara dhania:1/2 cup (bareek cut kar lein)
• Zarda rung:1/2 tea spoon
• Egg(boiled):2 adad
How to make Naseeb Biryani
METHOD:
aik pot mein ghee daal kar garam karein. is mein onion daal kar golden brown karein. ab is mein adhe sabut siyah mirch, badi ilaichi, daar chinni, kala zeera, subz ilaichi aur 1 taiz pata daal kar 2 min tak fry kar k thoda sa pani daal dain. tomato, red chilli powder, yogurt, aur salt daal kar bhonein. jub ache tarah masala bhun jaye toh utaar lein.aik pot mein rice daal kar is mein salt aur baqiya garam masala daal kar boil kar lein.aik kani reh jaye toh utaar kar chaan lein. zafran aur milk mix kar lein. is mein zarda rung bhe daal kar mix kar lein. aik baday pot mein pehlay rice ke pher masalay ke layer lagaein. uper adha pudina, dhania, aur green chilli daal kar pher rice daal kar phelaein.pher masala phelaein isi tarah hara masalah phela dein. dobara rice daal kar zafran mila milk daal dain.thoda sa ghee uper daal kar pehlay se garam taway par rakh kar pehlay 2 min taiz anch par is k baad anch halki kar k 10 min dum par rakhein.serving dish mein nikaal kar eggs se saja kar raitay k sath serve karein.
Posted By:
mehreen shah, sheikhupura