Baysan 1.5 cup
Khanay ka soda ¼ chayae ka chamach
Namak hasb e zaiqa
Kuti hoi laal mirch 1 khanay ka chamach
Tail fry k liye
Cheeni 2 khanay k chamchay
Chaat masala adha khanay ka chamach
Dahi 1 pao
1 piyaaly main khanay ka soda, baysan, namak aur kuti hoi laal mirch daal kar mix kar lain aur paani daal kar garha amezah bana lain. Ab garm tail main baray ki shakal main daal kar fry kar lain. Sunherhi hojany per karhaai sy nikal kar paani main daal dain takeh tail nikal jaye aur naram hojaain. Dahi phaint lain, namak, kuti hoi laal mirch, chaat masalah aur cheeni daal kar mix kar lain. Baray halkay sy nichor kar dahi main daal dain. Chaat aur kuti laal mirch chhirak kar paish karain.
Posted By: Posted By: Sani, karachi