Question

Question

Phatte Doodh Ke Koi Recipe Ha ?

jyoti Views
Asad Bhai Please mujeh Phatte Doodh Ke koi recipe batadain main last week 2kg doodh ke kharab hony ke wajeh sy mujeh ussy phekna para barai meharbani agar Phatte Doodh ke koi asan sy recipe miljai to apka shukriya hoga.

Asad Bhai Please mujeh Phatte Doodh Ke koi recipe batadain main last week 2kg doodh ke kharab hony ke wajeh sy mujeh ussy phekna para barai meharbani agar Phatte Doodh ke koi asan sy recipe miljai to apka shukriya hoga.

Best Answers
Answer

JI phatte doodh k ek asan se recipe ye ha ke ap esmain hasb-e-zaroorat ya hasb-e-zaiqa chini or elichi dal ke pakain yahan tak ke Pani dry hojai, usky bad esmain sookha doodh dal ke mix kegeya or mix krny ke bad dry fruits dal ke fridge main jama lain or phr enjoy Karen. I hope apko ye sweet dish zaroor pasan aige.

23 Mar 2014 chef asad
User Opinion
Phatty hue doodh ko us waqt tak pakaty rahen jab tak ye pak pak ke khoye ki shape men na ajai or jab light brown hojai to sugar add kar ke estemal karen.

  • Aijaz
  • 20 Aug 2014
Ji haan, bohot asaan si recipe hai, phate doodh se "Rabri" naam ki sweet dish banti hai, balkeh "Rabri" bananey phatay doodh ka estemal krna parta hai, Phate doodh ko ussi degchi mai dala rehne den, usse mazeed pakaaney kelia choolhay par rakhen, uss mai munaasib miqdaar main sugara daalen, aur sabz elaichi mesh karke daal den2 sy 4 drops vanila essence daal den, spoon chalaate rahen, yahan tak ke paani dry hojai. Ab isko aap garama garama bhi khaa sakten hen, aur thanda karke bhi.

  • Muhammad Nasir Khan
  • 20 Aug 2014
Sab answers boht achen hen, main ne 2nd wala use kia hay boht acha bna aur enjoy kia.

  • Maqbool Ahmad
  • 07 Nov 2014
Plz sir meri beti bohat meti khati he is,ka koye bata de

  • nadeem ahmed
  • 31 Jul 2015
Rasmali Jub phate hoye dodh ka pani dry hojaye tu without suger add kiye bilked dry kerne k baad hath se smooth dough bnaye phir is main thora sa dry milk add kerne k baad rasmali k pere bnaa k phele se Thore sa milk ghara kerlain alag sets main suger & green ilaichi add ker dain phir us main phate hoye milk k pere dal k thori der pakaye rasmali ready for eating

  • sania
  • 11 Nov 2015
Patel doodh say panzer (cheese) bun sakti hai. Please recepie batayein. Shukria

  • Amina Ahmad
  • 16 Feb 2016
Post Your Question