Question

Question

Dawat kay Liye Biryani ki Kitni Quantity Rakhna Hai

دعوت کے لیے صحیح مقدار میں بریانی کیسے بنائیں؟
Sadia Views
Asad bhai mujhe har daawat mein ek hi problem hoti hai. Mujhe andaza nahi hai ke kitne logon ke liya kitni biryani, pulao ya chawal banaya jai for example agar mein 10 logon ki DAWAT krti hoon to kitne chawal, gosht or masalon ke kia miqdaar hone chahye. Main aksar pareshan hojaten hun, i mean rice ziada kardaten hun to masala kam hojata hai. Please help me

Asad bhai mujhe har daawat mein ek hi problem hoti hai. Mujhe andaza nahi hai ke kitne logon ke liya kitni biryani, pulao ya chawal banaya jai for example agar mein 10 logon ki DAWAT krti hoon to kitne chawal, gosht or masalon ke kia miqdaar hone chahye. Main aksar pareshan hojaten hun, i mean rice ziada kardaten hun to masala kam hojata hai. Please help me

Best Answers
Answer

Ye depend karta hai k aap Biryani ka sath or kya bana rahen hen, Wasay 1kg Chawal 1kg Gosht ki biryani bohat ho gee 10 logo k liye agar aap or chizen bhe bana rahi hen to.

6 kg Rice & 6kg Gosht ki quantity taqreeban 35 afrad ke liye kafi hoti hai or Jaisy aap 1kg banati hen wesy hi 6kg banain bus har cheeze ko 4 time barha lein.

18 Nov 2014 Chef Asad
User Opinion
250 gm rice and 250 chicken for 10 people

  • aqeel
  • 31 Dec 2014
Salam Asad bhai, Please is ka sath masalo ki miqdar, tamatar, pyaz or nimboo, hara danya, poodina wagera be bata deen to behtar ho ga.

  • jamshed Khan
  • 01 Jan 2015
Biryani kay masalay ki maqdar bhi or peyaz tomato waghara plz chiken karahi ki quantity bhi bata den .

  • Sabiha khan
  • 09 Mar 2015
Give me recipe of homemade garam Masala powder

  • kiran shoaib
  • 09 Mar 2015
For 1 kg biryani, Gosht/chiken 1 kg Rice 1kg Onion 4 se 5 bari dermiyany size ki ya 1 pao Tommatos 5 se 6 adad dermiyany siz k Youghert aadha kg or 1 kg daly to ziada mazy k bnty hen rice its my persnol exp4rience Imli 7 se 8 dany bhigo den Alu bukhara 4 se 5 adad bhigo den Namk 4 table spon Kutti mirch 2 table spon Haldi 1/2 table spone Zeera 1 and half table spone Sabit dhaniya or sonf ham wazn ly k kout len mota mota 2 table spone Kali mirch 15 adad Daar cheeni 1 inch k 2 -3 tukry Bari alaichi 2 adad Chooti alichi 3 ya 4 adad Badyan k phool pese hoye 1 tea spon Sabit badiyan k phool 2 ya 3 adad Jifal javatri ham wazn pees len half tea spon Pisa garam masala 1 table spone Oil 1 pao taqreeban Kawra or zerdy ka rang hasb e zarorat dalta hy Podina aadhi gaddi Hari mirchen sabit 10 se 15 adad dalti hen.

  • hira baig
  • 10 Mar 2015
Asak asad bhai , mera sawal hai k biryani me agar hum 1 kg rice aur 1 kg gosht dalte hai to usme dahi aur pyaaz kitni dalni chahiye .

  • Shireen
  • 04 Nov 2015
Muze dawat kai liyai chikan biryani banane hai .15 log hai to aap muzai banana kai liyai kya or kit a lagaiga ?

  • najrin
  • 18 Mar 2016
Mujhe ye poochna hai k 100 people klie kitna kg ghosht or kitni kg biryani chahie hogi?..plss helpp

  • Abdullah
  • 28 May 2016
200 aadmi ke leye matan biryani ka kit Na saman chahi ye..

  • imrankhan
  • 16 Feb 2017
Asad bhai 30 logon ke liye biryani ki quantity leni chahiye.

  • Sabina
  • 18 Oct 2017
Post Your Question